Dua Lyrics – Manan Bhardwaj
Dua Lyrics
Haan pathar ko apna samajh kar, Ek sheesha toot gaya, Ek soone raste par, Haan main akela chhoot gaya.
Lag jati hai aag zehan main, Jab jab bhi barsaat ho, Roz sota hoon ye soch kar, Aaj aakhri raat ho.
Main dua karunga allah se, Meri maut tere hath ho, Aur agle janam mein, Firse meri aashiq wali jaat ho.
Main dua karunga allah se, Meri maut tere hath ho, Aur agle janam mein, Firse meri aashiq wali jaat ho.
Kya tumhein pata, Kitna darte hai, Hum ab ishq ke naam se, Acche khase shayar the, Ab nahi rahe kisi kaam ke.
Aa jati hai yaad tumhari, Kagaz kalam uthate hi, Kitne kagaz fainke maine, Likh likh kar tere naam ke.
Kya tha likha tha maine tujh par, Shayad tujhko yaad ho, Roz sota hoon ye soch kar, Kaash tujhse baat ho.
Main dua karunga allah se, Meri maut tere hath ho, Aur agle janam mein, Firse meri aashiq wali jaat ho.
Jahan rehte hai toote aashiq, Main usi jagah pe milta hoon, Tu koshish kar sun-ne to aa, Main aaj bhi gaane likhta hoon.
Maine bhi kuch dil tode hai, Jaise mera tune toda tha, Mujhe kehne lage hai saare, Ab main tere jaisa dikhta hoon.
Jab jaun main is duniya se, Us din khuda barsaat ho, Aur agle janam mein, Firse meri aashiq wali jaat ho.
Kya khud ko khuda maante ho, Kya khud ko khuda maante ho, Hamein maar to diya, Par ek shayar ko marne ki, Saza jante ho.
Dua Song Info:
Song: | Dua |
Singer(s): | Manan Bhardwaj |
Musician(s): | Manan Bhardwaj |
Lyricist(s): | Manan Bhardwaj |
Cast: | Kaashish Vohra, Manan Bhardwaj, Rahul Jaittly |
Label(©): | T-Series |