Shukriya Lyrics – Sadak 2 (Rendition) | Arijit Singh
Shukriya - Sadak 2 (Rendition)
Zindagi chal tera shukriya, Shayad mile na tu kal ki subah, Jo diya hamne hass ke liya, Aye zindagi tera chal shukriya.
Har saans ka har khwaab ka, Umeed ke sailaab ka, Tujhse judi har baat ka shukriya.
Teri dhoop ka barsaat ka, Thama jise uss haath ka, Acche bure haalat ka shukriya, Shukriya shukriya shukriya shukriya.
Milna beechadana aana jaana, Taye hai sab kuch pehle se, Pyaar bhare pal baandh ke rakhle, Baaki sab kuch rehne de.
Kuch nahi haath aayega yaha, Fir bhi aye zindagi tera shukriya, Kuch nahi haath aayega yaha, Fir bhi aye zindagi tera shukriya.
Mujhme sab hai sab kuch main hoon, Jeena marna baatein hai, Mujhme dono chaand aur suraj, Mujhse din aur raatein hai.
Paas hu main tere har jagah, Mahasoos kar mujhe aur muskara, Paas hu main tere har jagah, Mahasoos kar mujhe aur muskara, Haan haa o oo.
Shukriya shukriya!.
Shukriya Rendition Song Info:
Song: | Shukriya Rendition |
Album: | Sadak 2 |
Singer(s): | Arijit Singh |
Musician(s): | Jeet Gannguli |
Lyricist(s): | Jeet Gannguli, Rashmi Virag |
Label(©): | Sony Music India |