Father Saab Lyrics – Amit Bhadana | King
Father Saab Lyrics
Re bapu tune sikhaya jo kabhi bhula nahi, Galti na ho to suraj ki ankhon mein taad le, Jahan ko pade wo kadam ruke nahi, Soch aisi ho chattano ka bhi seena paad de.
Logo se tere ghutne, Ajj tak teke nahi gaye, Kyunki aiso se kabhi, Ghamand ke kapde fenke nahi gaye.
Aur jo datta rahein, Akhiri sans tak wo, Sathi hota hai, Oh sach ka khada bhi, Ek anek mein beta kaafi hota hai.
Aur jo haq ke liye lade sabse, Wo baap hi hota hai, Peeth pe chadke duniya dikhe jiske, Wo baap hi hota hai.
Aur jo dante chahe mare, Par dil ka saaf hota hai, Jyada fikar na kare jamane ki, Wo baap hi hota hai.
Bapu teri khoobi sari, Mujhme samaa rakhi, Oh tere jaisi maine, Ijjat kamma rakhi.
Oh jab faraz uthaya jimmedariyo ka, Tab se hi dukhi maine kabhi nahi maa rakhi, Wo roj mujhme teri chavvi dekha karti bapu.
Parchaiyan shero ki kahan marti, Ik wajah hoti hai jo jeene ki bapu, Wo maa ki aankhon mein dikha karti.
Tu nahi duniya mein par teri baat rahein, Rampal foji ke poto ki poori thaath rahein.
Oh rakh ke hath jo sir pe, Mitta gam sare, Baap hi hota hai, Sahi aur galat mein farak batave, Aisa baap hi hota hai.
Aur jo dante chahe mare, Par dil ka saaf hota hai, Jyada fikar na kare jamane ki, Wo baap hi hota hai.
Re bapu ankh mein le aasman se, Jab jab chehra tera dikhta hai, Main roj ladu toofaan se banda, Tehar kahan khichta hai.
Main roj punchu bhagwan se, Kyun tu sath nahi dikhta hai, Tu taras hi kha ke jagah bata de, Khwab jahan bikta hai.
Kyun na vahin se hi jake main khreed loon, Mujhe mange se pyaar milta nahi, Par tera hi diya hua sab rakha, Bhole bas mujhe baap dikhta nahi.
Aj tere bina bhi main, Teri hi najron se duniya dekhta hoon, Main aaj bhi tere na hone ka dukh, Ek haste huye chehre se lapetta hoon.
Bapu teri duaen kuch is tarah mere sath hai, Aj dharti pe khada hoke main, Poore ka poora aasman samet’ta hoon.
Bapu bapu bapu bapu.
Aur jo dante chahe mare, Par dil ka saaf hota hai, Jyada fikar na kare jamane ki, Wo baap hi hota hai.
Father Saab Song Info:
Song: | Father Saab |
Singer(s): | King |
Musician(s): | Section 8 |
Lyricist(s): | King |
Cast: | Amit Bhadana |
Label(©): | Amit Bhadana |