Haraam Lyrics – Maya
Haraam Lyrics
Duniya ke nizaam me, Thode achhe kaam me, Maza jeene ka ata hai, Mere sheher ki shaam me.
Salaam de achhi soch ko, Jo badnaam hai, Viraam hai, Mujhe mila ye inaam hai.
Gumnaam hai, Likha jo bhi sacha ye paigaam hai, Tera kaam ab neelaam hai, Macha dil me kohraam hai, Jhootha tera makaam hai.
Tabhi to tu nakaam hai, Is khel ka kadwa jaam hai, Hona jo katle-aam hai, Haraam hai .
Wo soch sare aam, Mera kaam mera naam, Ye awaam chakka jaam, Dil ko thaam dele dhyan, Tu insaan na bhagwan na shaitan, Hai kisaan jo mahaan hai aasaan, Lele gyan meri maan, Sab samaan le chalaan kar bhugtaan.
Jhoothi shaan ki thakaan, Saavdhaan hindustan.
Umeed roshandaan sabka ek he anjaam, Hona hai ram naam, To hona kyun pareshan hai bekar mein.
Dilon k bazaar mein, Zindagi rukegi na chadhaav me utaar mein, Kataar mein, Katora leke khade intezaar mein.
Afsos kis baat ka murdon k shikaar me, Akhbaar me, Subha subha machi khalbali, Ab baat meri chali.
Meri baat hai nirali, Har raat hai diwali, Abhi kahan beta teri bala tali, Hip-hop ki hawa thi ab, Tofaan ayega har gali.
Tofaan ayega.
Dil mera aflaatoon, Kadwa zubaan ka, Aankhon par sil gaye parde jo, Utaarna mai janta .
Na maanta riwaazon me mai mahaanta, Kaaton ki raahon par kya daudna aasaan tha, Ek time tha jab desh ke jawano me naam tha, Koi bhagat, koi aazaad, Koi ashfaaq ullah khan tha.
Na hindu musalmaan tha, Mazhab nahi makaam tha, Kya achha samay wahi tha, Jab desh ye gulaam tha.
Saavdhaan hindustan.
Haraam Song Info:
Song: | Haraam |
Singer(s): | Maya |
Musician(s): | Maniac, Team Darks |
Lyricist(s): | Maya |
Label(©): | Darks Music Company |