Hum Katha Sunate Lyrics – Uttar Ramayan

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gundham Ki Katha from Uttar Ramayan. The voice in this Katha was Kavita Krishnamurthy, Hemlata, Ravindra Jain and music of this Hum Katha Sunate is also given by Ravindra Jain.

Get Hum Katha Sunate Song Information

Hum Katha Sunate Song Lyrics

Om shri maha ganadhi pataye namah, Om shri uma maheshwara bhyam namah.
Valmiki gurudev ke kar pankaj sir naam, Sumire maat saraswati hum par ho hu sahaar, Maat pita ki vandana karte baaram baar, Guru jan raja praja jan naman karo swikar.
Hum katha sunate ram sakal gun dhaam ki, Hum katha sunate ram sakal gun dhaam ki, Yeh ramayan hai punya katha shri ram ki.
Jambu dweepe bharat khande aryavarte, Bharatvarshe ek nagri hai vikhyat, Ayodhya naam ki.
Yahi janmabhoomi hai param pujya shri ram ki, Hum katha sunaate ram sakal gun dhaam ki, Ye ramayan hai punya katha shri ram ki, Ye ramayan hai punya katha shri ram ki.
Raghukul ke raja dharmatma, Chakravarti dashrath punyatma, Santati hetu yagya karvaya, Dharm yagya ka shubh phal paya.
Nrip ghar janme char kumara, Raghukul deep jagat aadhara, Charon bhraton ka shubh naamah, Bharat shatrughan lakshman rama.
Guru vashisht ke gurukul jaake, Alp kal vidya sab paake, Puran hui shiksha raghuvar puran kaam ki, Hum katha sunaate ram sakal gun dhaam ki, Ye ramayan hai punya katha shri ram ki.
Mridu swar komal bhavana rochak prastuti dhang, Ek ek kar varnan karein luv kush ram prasang, Vishwamitra mahamuni rai inke sang chale do bhai, Kaise ram tadka maari kaise nath ahilya taari.
Munivar vishwamitra tab sang le lakshman ram, Siya swayamvar dekhne pahunche mithila dham, Janakpur utsav hai bhari janakpur utsav hai bhari, Apne var ka chayan karegi sita sukumari, Janakpur utsav hai bhari.
Janak raj ka kathin pran suno suno sab koyi, Jo tode shiv dhanush ko so sita pati hoye.
Koh tode shiv dhanush kathor, Sabki drishti ram ki oar, Ram vinay gun ke avtar, Guruvar ki aagya sir dhar.
Sehaj bhav se shiv dhanu toda, Janak suta sang nata joda.
Raghuvar jaisa aur na koyi, Sita ki shamta nahi hoi, Dau kare parajit, Kanti koti rati kaam ki.
Hum katha sunate ram sakal gun dhaam ki, Ye ramayan hai punya katha siya ram ki.
Sab par shabd mohini daali, Mantramugdha bhaye sab nar naari, Yon din rain jaat hain beete, Lav kush ne sab ke mann jeete.
Van gaman sita haran, Hanumat milan lanka dehan, Ravan maran ayodhya punaragaman.
Sab vistar sab katha sunayi, Raja ram bhaye raghurai, Ram raaj aayo sukh daayi, Sukh samriddhi shri gharghar aayi.
Kaal chakra ne ghatna kram mein, Aisa chakra chalaya, Ram siya ke jeevan mein, Phir ghor andhera chhaya.
Avadh mein aisa aisa ek din aaya, Nishkalank sita pe praja ne, Mithya dosh lagaya, Avadh mein aisa aisa ek din aaya.
Chaldi siya jab tod kar, Sab neh naate moh ke, Pashan hridayon mein na, Angare jage vidroh ke.
Mamta mayi maayon ke aanchal, Bhi simat kar reh gaye, Gurudev gyan aur neeti ke, Sagar bhi ghat kar reh gaye.
Na raghukul na raghukul nayak, Koyi na huya siya ka sahayak, Manavta ko kho baithe jab, Sabhya nagar ke vaasi.
Tab sita ko huya sahayak, Van ka ek sanyasi.
Un rishi param udaar ka, Valmiki shubh naam, Sita ko aashray diya, Le aaye nij dham.
Raghukul mein kuldeep jalaye, Ram ke do sut siya ne jaaye.
Shrota gan jo ek raja ki putri hai, Ek raja ki putravadhu hai, Aur ek chakravarti raja ki patni hai.
Wahi maharani sita vanvas ke dukhon mein, Apne din kaise kaat’ti hai, Apne kul ke gaurav aur, Swabhiman ki raksha karte hue.
Kisi se sahayta mange bina, Kaise apna kam wo swayam karti hai, Swayam van se lakdi kaat’ti hai, Swayam apna dhaan kut-ti hai, Swayam apni chakki pisti hai.
Aur apni santan ko, Swavalambi ban’ne ki shiksha, Kaise deti hai, Ab uske karun jhanki dekhiye.
Janak dulari kulavadhu, Dasharath ji ki raj rani hoke, Din van mein bitati hain.
Rehti thi gheri jise daas daasi aathon oar, Daasi bani apni udaasi ko chhupati hai, Dharam praveena sati param kulina sab, Vidhi dosh hina jeena dukh mein sikhati hai.
Jagmata hari priya lakshmi swarupa siya, Kut-ti te hai dhan bhoj swayam banati hai.
Kathin kulhadi leke lakdiyan kaat’ti hai, Karam likhe ko par kaat nahi paati hai, Phool bhi uthana bhari jis sukumari ko tha, Dukh bhari jeevan ka bojh wo uthati hai.
Ardhangini raghuveer ki, Wo dhar dheer bharti hai neer, Neer jal mein nehlati hai.
Vish’ke praja ke apvadon, Kuchakra mein wo pisti hai chaaki, Swabhiman ko bachati hai.
Paalti hai bacchon ko wo, Karmayogini ke bhanti, Swabhimani swavalambi, Safal banati hai.
Aisi sita mata ki, Pariksha lete dukh dete, Nithur niyati ko, Daya bhi nahi aati hai.
Ho us dukhiya ke raaj dulaare, Hum hi sut shri ram tihaare, Ho sita maa ki aankh ki taare, Lav kush hai pitu naam humare.
Hey pitu bhagya humare jaage, Ram katha kahi ram ke aage.
Written by: Ravindra Jain
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!
Hum Katha Sunate Lyrics – Uttar Ramayan

Hum Katha Sunate Song Info:

Song: Hum Katha Sunate
Album: Uttar Ramayan
Singer(s): Hemlata , Kavita Krishnamurthy , Ravindra Jain
Musician(s): Ravindra Jain
Lyricist(s): Ravindra Jain
Cast: Arun Govil, Deepika Chikhalia, Mayuresh Kshetramade, Sunil Lahri, Swwapnil Joshi
Scroll to Top