Kaisa Yeh Manzar Lyrics – D Abdul
Kaisa Yeh Manzar Lyrics
Kaisa yeh manzar ki sab ghar ke andar, Par hum ne hi maara tha dharti pe khanjar kyu, Jungle ko kaate aur janwar ko maare, Badate parudushan aur kachre failate dikhate hai, Khudko hum jaise mahan, Behtar hai janwar hum kaise insan, Jo hai patthar ka dil galt kaam ko anjaam yaha, Nasht kare kudrat yeh saara jahan bane, Sab toh anjan pr hum jante the sab, Hua yeh karma dua karna rabse abb ku.
Aai yeh bimari saza banke chai, Hum insano pe barsi yeh kaisi tabahi, Jo manzar zamane ko aise rulai, Ke jaise ki puri yeh dharti chillai, Mere bhai tabhi yaad aaya apna iman, Fir bhi na khauf abhi zinda haiwan, Hua hai rape iss bich ek bacchi ka, Bolu toh bolu kaise hum hai insan, Jeena toh sikh kya ladne ka maut se, Tere amal tere saath warna kon hai, Duniya me jeele lekin chalne khauf me, Kyuki gurur wale mitthi bane bhot se, Aur shot hai yaha pe na rehna humesha, Hai jana toh sabko aur sabne yeh dekha, Kuch ne toh rishte aur kuch ne iman, Yaha logo ne apna hai kya kya toh becha.
Mujhe dikhe glt kaam sare aam, Hai shaitan yeh zamana toh kharab, Yeh bimari azab jaake maafi tu maang, Tera rab hai naraz tu hai pinjre me kaid lekin, Panchi azad baar baar bolu aapko ki ghar pe hi rehna, Jana hai bahar toh dande ko sehna, Mooh dhadko dur raho sabka yeh kehna, Dhulo haath soap sanitizer toh hai na.
Rape se leke hatiya insano ne sab krdiya, Jaan ke krte galtiya fir chodke duniya chal diya, Na band kiya hume gunah toh rab ne rasta yeh, Chuna wo zulum ko sehke kehte rabse rab ne unka sun liya, Khauf tumhe bimari ka par rab ka bilkul nahi hai, Shauk rakhoge acche toh fir sab kuch chalta sahi hai, Hoga hisab tera jana sabko wahi hai, Yeh duniya char din ki aate jaate kai hai.
Kaisa Yeh Manzar Song Info:
Song: | Kaisa Yeh Manzar |
Singer(s): | D.Abdul |
Musician(s): | Giri G, Ruchir K |
Lyricist(s): | D.Abdul |
Cast: | Faisu, Faiz Baloch |