Khatma Lyrics – RCR

“Khatma” is the latest song by RCR. The lyricsof this song are written by RCR. The music of this song is given by Shrai Pradhan. The producers of this video are Vaibhav Krishna & Shrai Pradhan. Directed by IAMVKDOP.

Get Khatma Song Information

Khatma Lyrics

Bohot dino se kuch mere dil me tha, Jo mai sabko batana chahta tha, Or aaj mai vo sab kehne ko aaya hoon, Jo din raat mujhe andar hi andar kha raha tha, Mujhe esa lagta hai ki.
Yaha sach ko chhod ke baaki sab kuch sach hai, Dimaag ke khel dil ke fail clutch hai, Farebiyo se tujhe imaan ki umeed, Waah rcr teri toh soch hi too much hai.
Yaha jism bikta hai, Hunar kara tikta hai, Aakh walo ne phera muh zakhmo se, Andhe bole bhai tera dard mujhe dikhta hai, Yeah! chheen liya mera saaya ke parchhayi na dikhe, Marey gaye jazbaat kalam ke likhe, Is kadar giraya falak se zameen pe, Jo heero se mehnga ab kaudi me na bikey.
Jala ke seena ke taano ke rotiya sekte, Dil diya badle me gaaliya fekte, Ek ansu bhi unka lagt tha tezaab, Jab mai rota saale saab door se dekhte.
Chhodi na daali na mere liye koyi khali, Darbadar thokre mai aawara parinda hoon, Puchte hai haal tabah karke, Mar gaya tu saale, Mera jawab abhi zinda hoon.
Hahahaha .
Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan.
Shukriya mumbai tune dil kiya patthar, Nahi to industry me aage na badhta, Zinda the jo jazbaato pe kafan tha, Emotional fool bas ab fark nahi padta, Haara mai jo unki diwali man gayi, Taano ki chhaati fir great khali si tann gayi, Khushnaseeb hoon mere parwardigaar, Meri haar jo kisi ki khushi ka kaaran ba gayi.
Lehro se tez dubane ka kaam kare, Meri kareebi maali halat thik par, Kese karu door inki dil ki gareebi, Saare freezer in thand jwaala mukhi ko nyota, Taras aay dekh inki badnaseebi, Ghar bhi ab mujhe ghar na lage, Darr bhi ab mujhe darr na lage, Dil ki chott se duniya hi gayi hill, Ab udta hoon bebasi me bas par na lage.
Par kese karoge yaha par mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan.
Behre hai saap, Kab tak been bajaoge, Doodh ke badle zehar milega, Be maut maare jaaoge, Kiya mera career apni or se khatam, Haatho ka chheen liya, Maathe ke kese chheen paoge.
Hahahaha , Tumhe kya laga tha ki tum mujhe rok paoge, Dekh mai phir wapis aa gaya hahahah, Jab log utha gae masoomiyat ka fayda, Phir bhola panchi seekh gaya, Haramiyat ka qayda, Jeet gaya saare mere hatters gaye chook, Shor hua jeet ka jaise bajda zook.
But i don’t care i fuck the shit, 4 saal lagau rap me phir bhi rahuga hit, Jo mai kar jauga vo koyi ni kar paega, Mere jaane ke baad mere jaisa na koyi aayega, Mai na rahuga par, Mera naam reh jayega, Mera naam reh jayega.
Yaha sab meri maiyat ka tamasha dekh rahe hai, Jism jalke khaak hai sab haath seek rahe hai, But you know what, Ye banda pehle dinse superstar tha, Hai or rahega.
Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan, Kese karoge yaha pe mera khatma, Saari meri hai zameen mera aasmaan.
Written by: RCR
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!
Khatma Lyrics – RCR

Khatma Song Info:

Song: Khatma
Singer(s): RCR
Musician(s): Shrai Pradhan
Lyricist(s): RCR
Label(©): Rcr rapstar
Scroll to Top