Khoya Sab Lyrics – Yungsta, Lisa Mishra | Kshmr
Khoya Sab Lyrics
Khoya sath lage khoya sab, Par ye aankhein kabhi royi nahi, Royi nahi, Uthaye jokhim humne roz hi naye, Jab thi khane ko roji roti nahi.
Mili ijjat mili takat, Par talasha maine chayn, Thoda jab na mila woh hi kahin, Khoja khud mein bhi aur khoja jag, Khudki khamiyan par khoji nahi.
Ye maya ka hai moh ni sahi, Ye maya ka hai moh ni sahi, Khoya pyaar ismein khoya sab, Par ye aankhein kabhi royi nahi, Royi nahi.
Kya hai sahi aur hai galat kya, Mujhe nahi pata hai farak kya, Bas dekha apno ko sote bhooke peyt, Aur janta hota woh dard kya, Chukaye jo sar the karze mere, Jo jeeta nahi main woh shart kya, Iss haar aur jeet ke beech mein, Rehta khauf mera aajaye ant na.
Dikhe bas kohra aage, Lage khudko he kho raha main, Kya tha main pehle, Aur kya ban gaya main, Kare ye ijjat meri ya kare ye daya, Mujhko dekh ke.
Choti pe hu khada main, Par ja rahi zameen ye, Pairon ke neeche se fisal, Is maya ke jaal se, Chahu ke jaau main nikal, Rehti hai apno ki jaano ki fikar.
Neendein haram, Karu main shant kaise sar mein, Chalti aawajon ko, Hone ni deta kabhi namm in aankhon ko, Par kaise badlu main ab in haalaton ko, Karne hai poore kuch adhoore khwabon ko, Kaise chalau main wapas se, Thami un saanson ko.
Khoya sath lage khoya sab, Par ye aankhein kabhi royi nahi, Royi nahi, Uthaye jokhim humne roz hi naye, Jab thi khane ko roji roti nahi.
Mili ijjat mili takat, Par talasha maine chayn, Thoda jab na mila woh hi kahin, Khoja khud mein bhi aur khoja jag, Khudki khamiyan par khoji nahi...
Ye maya ka hai moh ni sahi, Ye maya ka hai moh ni sahi, Khoya pyaar ismein khoya sab, Par ye aankhein kabhi royi nahi, Royi nahi.
Mujhe lagta tha hu main shapit, Fir pata chala ke, Main khud hi hu shrap, Kitne jo khade khilaf, Hai meri sangat kharab, Tha mera mattha kharab, Jo kheecha tujhe bhi is daldal mein, Khatron se bhare is jungle mein.
Hai mera kasoor, Jane diya tujhe ghar wapis akele us raat, Ye jaan ke bhi ki ho rahi gun teri jam, Aur dushman ne kar diya jung ka elaan, Par na tha janta main, Hogi meri kismat itni kharab, Ke ussi din teri jaan ke aayenge peeche wo, Karte vaar bhi jo peeche se.
Geedad ye puntar gali ke the, Jabse hui zindagi behtar apni, Saale jalte tabhi se the.
Aaya bhabhi ka call, Tu gharpe aaya ni laut ke, Aa pata jab tak samajh ke hua kya hai, Tab tak ho chuki thi bahot deyr, Usne toh de bhi di maafi, Par na kar pata main khud hi ko maaf, Toot gaya andar se main bhi, Jab haathon mein mere toddi, Tune saans lage khoya sab.
Khoya sath lage khoya sab, Par ye aankhein kabhi royi nahi, Royi nahi, Uthaye jokhim humne roz hi naye, Jab thi khane ko roji roti nahi.
Mili ijjat mili takat, Par talasha maine chayn, Thoda jab na mila woh hi kahin, Khoja khud mein bhi aur khoja jag, Khudki khamiyan par khoji nahi.
Ye maya ka hai moh ni sahi, Ye maya ka hai moh ni sahi, Khoya pyaar ismein khoya sab, Par ye aankhein kabhi royi nahi, Royi nahi.
Khoya sath lage khoya sab, Par ye aankhein kabhi royi nahi, Royi nahi, Uthaye jokhim humne roz hi naye, Jab thi khane ko roji roti nahi.
Mili ijjat mili takat, Par talasha maine chayn, Thoda jab na mila woh hi kahin, Khoja khud mein bhi aur khoja jag, Khudki khamiyan par khoji nahi haan.
Khoya Sab Song Info:
Song: | Khoya Sab |
Album: | Karam |
Singer(s): | Lisa Mishra , Yungsta |
Musician(s): | Kshmr |
Lyricist(s): | Lisa Mishra, Yungsta |
Label(©): | Kshmr |