Manzil Lyrics – Jatt Prabhjot | Gurvansh Gujral
Manzil Lyrics
Jude zameen se, Aasmaan pe rakhe pair, Pehle teri mehnat phir hoti rab di mehr, Lakeer ka fakeer ban ne ka tha na shauk, Tabhi to ban paya aap sabka jatt prabhjot.
To good morning friends, Sat sri akal namaste, Bado ko pairi paouna chhoton ko helllloooo..
Umar 10 tera bhai tass se mass, School ke khoob maze maze loot, Or padhne me tha main mast, Shauk the do, Ghoomna firna or padhayi, Baaki aakhon se dikhta na thi utni kamaai, Jo le jaaye mujhe baahar dilaye kapde, Main paagal sa bachcha, Lagta tha unse jhagadne.
Pyaar karne se zyada papa majboor the, Tabhi to dost yaar mere mujhse door the, Purane mere kapde purane joote, Purani yeh kitaabe, Woh hanste the mere munh pe, Kyu be isme meri kya hain galti, Par jald hi main seekh gaya, Majboori bhi ek galti.
Chalna sikhaya tujhe daudna hain, Jeena sikhaya tujhe jeetna hain, Kehna sikhaya tujhe cheekhna hain, Tukhe seekhna hain.
Chalna sikhaya tujhe daudna hain, Jeena sikhaya tujhe jeetna hain, Kehna sikhaya tujhe cheekhna hain, Tukhe seekhna hain, Tukhe jeetna hain.
Kuch hi samay nave kaam pe main jaane laga, Umar thi 12, 22 ki soch ko laane laga, Kam thoda khaane laga, Aansu ko dabaane laga, Apne se bhaari wazan main uthane laga.
Padhne ka shauk kaam karne ki majboori thi, Raat raat bhar padhayi se, Kamzor aankhein ho rahi thi, Meri umar me laundon ke toot’te dil, Yahan meri aakhon ke saamne, Meri dukaan toot rahi thi.
Woh bhi tha samay room ek rehte log 5, Vahi tha khaana peena wahi bani apni dukaan, Kayi baar socha ki le leta hoon apni jaan, Par imaan bola papa ki baat ka banega kaun shaan, Zaruratein poori hon na hon, Par meri fees bhari jaati thi, Meri maa ki aakhon me woh ek tasveer, Mujhe hamesha dikhlaati thi, Ke mujhe hona kaamyaab, Karna kanyadaan meri chhoti behan, Meri jaan mera samman, Mere ghar ki khushiyon ko wapas deni jaan seedhi baat, Waapas lana apna atamsamman.
Chalna sikhaya tujhe daudna hain, Jeena sikhaya tujhe jeetna hain, Kehna sikhaya tujhe cheekhna hain, Tukhe seekhna hain.
Chalna sikhaya tujhe daudna hain, Jeena sikhaya tujhe jeetna hain, Kehna sikhaya tujhe cheekhna hain, Tukhe seekhna hain, Tukhe jeetna hain.
Poori padhayi kiya thi naukri ki talaash, Saal bhar ghoome baby bana na paaye koyi baat, 4000 koyi deta 5000, Is’se zyada dukaan pe mere chhotu ki thi pagaar, Kaam pakde jo bhi mujhe takkre, Na the koyi nakhre, Kyu ki saaf mere sapne, Sath mere apne, Sath kiya kaam, sath faila naam, Aaj bhi thok ke salaam apne bhaiyon ko, Jinhone diya sath, Jinhone mere bure waqt me bataya hath, Yeh zamana hath kaatne walon ka, Jaat-Paat me baatne walon me se, Na tha koyi mera yaar.
Dhool vi chatt layi, duniya vi takk layi, Koyi kise da yaar nahi jadd hundi ae takleef, Yaar pra vi nakli eh gall ch koyi shakk ni, Paalo tussi kutta par paalo kade saap nahi.
Poori zaruratein ab ho rahi thi, Meri maa bhi ab sukun se so rahi thi, Par mere andar ka jwala tha, Mujhe jo sata raha tha, Us se meri neende ab kho rahi thi.
Kaam kar raha hoon, ghar bhi theek hain, Yaar dost kehte toone paa li jeet hain, Par aana mujhe rona yeh kaisa mera naseeb, Kaamyaabi ke baad bhi mujhe mili na koyi jeeta hain.
Dum mera ghut raha, Maa mujhe poochhti, Raaton ko mujhe neend nahi kaam me aati, Sochti santushti nahi hain, Kisi bhi baat ki mujhe khushi kyu nahi hain, Chaardiwari ko chhod karna aasmaan ki sawaari, Maine soch liya yeh kaam mere bas ka nahi hain.
Zindagi jeeni hain ik baar jee shaan se, Manzil hain door par lagaam tere hath me hain, Zinda hain tu kyu ki khuda tere sath me hain, Na dar tere kala tere hath me hain.
Kaamyaab banda kaam ke baad bhi khush nahi hain, To woh kaamyaab hi nahi hain, Iklauti zindagi ko ro kar jeena, Achchi baat to nahi hain.
Job se off lekar savings ko tod diya, Kar explore mujhe yeh hain maine thaan liya, Ghar walon ne bhi mujhe poora support kiya, Soch liya gaadi maine laddakh ko mod liya.
Lagaya go pro, Jaane laga slow slow, Leta raha photo, Ab leta raha slow mo, Dekha maine jo jo, Main chahta sab kuch mera ho, Main chahta har koyi dekhe kabhi, Banaya pehla video, Start to end maine poora record kiya, Ghar aake dekha edit kiya phir upload kiya, Sach bataun woh pehla zindagi ka din tha, Jab har ek lammha maine poori khushi se jiya.
Chalna sikhaya tujhe daudna hain, Jeena sikhaya tujhe jeetna hain, Kehna sikhaya tujhe cheekhna hain, Tukhe seekhna hain.
Chalna sikhaya tujhe daudna hain, Jeena sikhaya tujhe jeetna hain, Kehna sikhaya tujhe cheekhna hain, Tukhe seekhna hain, Tukhe jeetna hain.
Back to square one, one on one, Shuru huyi jung jo thi meri khud se, Kamaun thoda kam par karun kaam, Jisme lage mann, Yeh maine thaan liya man se, Back to back phir video banane laga, Chhutti to milni nahi thi salary katwane laga, Daant bhi khaane laga par baat nahi koyi, Dilli manali mussoorie to ghoome mila, Dekh dekh views badhne lage, Log mere naam se mujhe jaan’ne lage, Road pe rok ke mujhe bulane lage, Phir ek din hua kuch aisa, Meri aakhon se aansu na ruke.
Paa li jeet bhale aa jaaye maut ab, Hua kaamyaab na bacha kisi ka khauf ab, Shauhrat paa li maine, daulat paa li, Papa ki chhaati chaudi ke saame tikega kaun ab, Record kiya fastest growing youth, Youtuber ki lagi bet, Time hua mujhe aaye 2 saal, 2 saal me tera bhai 1 million paar.
Diya shot maine short notice me, Aane lage notice me tere bhai ke kisse, Load kare shot kare video me gor kare, Mere liye comments me logon ki maa-behn kare, Mere fans ne diya bohat pyaar, Haters ne mere liya rakha mangalvar, Samachaar aaya jatt prabhjot ko mila pyaar, Tabhi to ktm se seedha le li bmw car.
Bana blogger na kisi ka naukar, Din me kaam khud ka shaam me hoon shopper, Hip hopper bhai mere sath, Gurvansh gujral gol maare jaise soccer, Plan tha foolproof na khela main gambling, Tumhare liye tough jaise carry of gavin, Off road zindagi me smooth rakhi handling, Tumhein laga shot put maine javelin, Subscribe karein dislike ke liye, Face hide karein meri ek bite ke liye, Lakhon me views har video ko aate, Haters ka aabhari main iss hype ke liye, Door se dekh kar murjhane wale log aaj, Door door se aate mujhe milne, Purani tasveere inbox me bhej kar, Aate banane nave nave rishte, Jo na karte the follow, Aaj tweet karte hain mere baare main, Waise to manzil hain boht door, Par kayi log hume ginte sitaaron me.
Tumhare saame hain aaj mera kal, Na yeh chamatkaar bas mehnat ka phal, Aap sabhi ke pyaar se haters gaye jal, Or main seekh gaya zindagi ka jeena har pal, Haan manzil bohat door hain, Par yeh mukaam mere liye kisi jeet se kam nahi, Bure samay ko sahi banana hamare hath me hota hain, Bas sachche man se mehnat karte jao, Or pyaar failate jao, Isiliye main yeh kehta hoon.
Dua bani dawa, Jahan kabhi socha na tha, Wahan aaj hoon khada, Jo na jaante the woh bhi aaj hain mere gawah, Mata pita or chahne walon ko dil se shukriya.
Manzil Song Info:
Song: | Manzil |