Purvaiya Lyrics – Shankar Mahadevan | Toofaan
Purvaiya Lyrics
Samaye ke panno pe likh rahi hai, Ye zindagi jo kahani, Hai kaise mod ismein aane wale, Ye baat kisne hai jani.
Yahi zindagi hasaye, Yahi zindagi rulaye, Yahi zindagi de lori, Yahi zindagi jagaye.
Yahi lati hai andhere, Yahi roshni bhi laye, Yahi jakham jakham kar de, Aur yahi marham lagaye.
Har pal yaha naya sama, Naye zameen naye aasman hai, Kabhi to hai naram hawa, Aur kabhi garam aandhiyan hai, Aandhiyan hai.
Tej chali re purvaiya, Din mein layi raat re, Tej chali re purvaiya, Bikhre hai phool aur paat re.
To bas hairan hairan soche insan, Honi hai ab kya baat re, Bas hairan hairan soche insan, Honi hai ab kya baat re, Tej chali re purvaiya.
Samaye ke panno pe likh rahi hai, Ye zindagi jo kahani, Hai kaise mod ismein aane wale, Ye baat kisne hai jani.
Wo ankhein jo kahi nahi, Unke sapne maine hai sambhal ke rakhe, Yaadon ne saari tasveerein aur dil ne, Dard hai kamaal ke rakhe.
Apni dhadkano mein aur sanson mein, Maine jisko rakha hai jinda, Uski umeedon ko uske khwabon ko, Kaise hone dunga sharminda.
Raahon mein the biche huye, Dehke dehke angare, Akash se patthar barse, Ye sapne fir bhi na haare, Fir bhi na haare.
Tej chali re purvaiya, Duniya lagaye hai ghat re, Tej chali re purvaiya, Dil nahi manta maat.
Re to bas hairan hairan soche insan, Honi hai ab kya baat, Re to bas hairan hairan soche insan, Honi hai ab kya baat re.
Tej chali re purvaiya purvaiya, Tej chali re tej chali re, Tej chali purvaiya.
Purvaiya Song Info:
Song: | Purvaiya |
Album: | Toofaan |
Singer(s): | Shankar Mahadevan |
Musician(s): | Shankar Ehsaan Loy |
Lyricist(s): | Javed Akhtar |
Cast: | Farhan Akhtar, Mrunal Thakur |
Label(©): | Zee Music Company |