Saaya Lyrics – Sector 36 | Kanishk Seth
Saaya Lyrics - Sector 36
Andhera kahin jo reh gaya, Saaya banke mila.
Paap ka ghada jo beh gaya, Laava banke mila.
Duniya ki hain kaisi majbooriyan, Zulmon se hua vaasta, Raaton ki kar li jee-huzooriyan, Andhera hua raasta.
Farz tha karna reh gaya, Aaya banke gila.
Faisla usko karna hai, Karz toh sabko bharna hai, Banjar dikhe aankhein aaj kyun, Aansoo koi toh jharna hai.
Dekhenge jab bhi kal ko, Maazi rahega palkon, Bharna padega kal toh.
Hmm jo kehna reh gaya, Sannaton sa hai mila.
Waqt bhi zakhmi reh gaya, Vaadon se hai chhila.
Duniya ki hain kaisi majbooriyan, Zulmon se hua vaasta, Raaton ki kar li jee-huzooriyan, Andhera hua raasta.
Andhera kahin jo reh gaya, Saaya banke mila.
Saaya Song Info:
Song: | Saaya |
Album: | Sector 36 |
Singer(s): | Kanishk Seth |
Musician(s): | Kanishk Seth |
Lyricist(s): | Yashwardhan Goswami |
Cast: | Deepak Dobriyal, Vikrant Massey |
Label(©): | Sony Music India |