Sahi Galat Lyrics (Drishyam 2) – King
Sahi Galat Lyrics
Tu jahan se dekhta hai, Main galat hoon tu sahi, Dekh meri nazro se, Galat main kuch galat nahi.
Karna hai jo karke hi, Rahunga maine tai kiya, Galat ko bhi sahi tarah se, Karne ka nishchay kiya.
Lagta hai tujhe ke, Jurm ka hoon zimmedar main, Jab saboot hi nahi to, Kaise gunehgar main.
Poore hosh aur hawas mein, Kiya jo hai kiya, Galat ko hi sahi tarah se, Karne ka nishchay kiya.
Teer ki tarah chala ke, Apne har upay ko, Mere har kadam ke aade, Aane wale nyay ko.
Sam dam dand bhed se bhi, Maine tai kiya, Galat ko bhi sahi tarah se, Karne ka nishchay kiya.
Samajhna khud ko mujhse tez, Teri bhool hai, Siyar jaisi hoshiyari, Ye fizool hai.
Tera khyal thekedar hai, Tu wakt ka, Badal ke rehta hai, Ye wakt ka asool hai.
Harkaton par kab talak, Meri nazar rakhega tu, Karte karte pehredari, Ek din thakega tu.
Main magar nahi thakunga, Faisla ye hai kiya, Galat ko bhi sahi tarah se, Karne ka nishchay kiya.
Sahi Galat Song Info:
Song: | Sahi Galat |
Album: | Drishyam 2 |
Singer(s): | King |
Musician(s): | Devi Sri Prasad |
Lyricist(s): | Amitabh Bhattacharya |
Cast: | Ajay Devgn |
Label(©): | Panorama Music |