Salaam Lyrics – Divine
Salaam Lyrics
Hum sabko mil kar covid-19 naam ki, Is kahtarnaak beemari ko maat deni hain, Apne haath saabun se lagatar dhoye, Bheed se or baaki logon se doori rakhe, Apne ghar se baahar na nikle, Jabtak sarkaar ka aadesh na ho.
Is desh ke frontline worker, Jese doctors, nurses, police, Or baki sarkari karamchari, Covid-19 se ladne mein jute huye hain, Aao hum sab unki sahayata kare, Ghar par rahe or, Social distancing ka paalan kare.
Yeh sahi mein aaya jaanwar se, Ya aadmi ne banaya?, Khud ka dekh ke fayada poori, Duniya mein failaya.
Yeh sahi mein aaya jaanwar se, Ya aadmi ne banaya?, Khud ka dekh ke fayada poori, Duniya mein failaya.
Or media ne duniya ko, Ye late kyon bataya, Mere sheher mein rahte, 20 million log, Matlab 20 million rog, Or teen guna paisa matlab, Saath dega kon?.
Ant ka hi sochenge, Fir satart dega kon?, Tum hi karo maths phir, Sab is mein ek saath, Cut karo class phir, Dharam class colour nahin, Mass wala shot hain, Science dega dhokha tab toh, Bhagwan mein vishwas hain, Panic mat ho andar hi raho, Aarti ya namaz haath rakho saaf, Door rehke paas doctor ya nurse, Mujhe tum par hain naaz, Doctor ya nurse, Mujhe tum par hain naaz.
Police wala bhi lagne laga khas hain, Andar rehna jabtak milta nahin ilaaj hain, Front walo ko salaam hain (salaam hain), Front walo ko salaam hain (salaam hain).
Police wala bhi lagne laga khas hain, Andar rehna jabtak milta nahin ilaaj hain, Front walo ko salaam hain, Front walo ko salaam hain.
Paisa kamane nikle medical wale ye, Dawa dawa karke sabse paisa ye nikalenge, Ameer desh chup chap se, Vaccine bhi nikal lenge, Wali topi chote humko kyon pehnare ye.
Beemari asli hain sapna nahi hain, Social distancing kese?, Jab chapra nahin hain, Andar kese main rahun, Jab kamra nahin hain, Wo pet kese bhare jab chapra nahi hain.
Majdoor mazboor nikle nange pair ghar, Maa sochi mera beta wo toh bana officier, Haan maa bola use jhoot tujhse, Ye route nahin leta par uska bhook bola, Main kara koshish tujhse kya hora?, Yeh war aapas ka nahin duniya se bada, Minister kya kare wo koshish toh kar raha, Nuclear hathiyar bhi maachis sa lag raha.
Ghar mein raho (ghar mein raho), Haath saaf rakho (haath saaf rakho), Ab faasla hain jo (ab faasla hain jo), Wo apne liye safe hain (apne liye safe hain).
Ghar mein raho (ghar mein raho), Haath saaf rakho (haath saaf rakho), Ab faasla hain jo (ab faasla hain jo), Wo apne liye safe hain (wo apne liye safe hain).
Karan kanchan on the beat!.
GG 59, gully gang!.
Salaam Song Info:
Song: | Salaam |
Singer(s): | Divine |
Musician(s): | Karan Kanchan |
Lyricist(s): | Divine |
Label(©): | Divine |