Shikayat Lyrics – Gangubai Kathiawadi
Shikayat Lyrics
Kisi ki yaad mein, Shamein guzarne ke liye, Kaleja chahiye khud ko, Marne ke liye.
Ke ghat maut ke, Har din utarna padta hai, Ye ishq dil mein meri jaan, Utaarne ke liye.
Suna hai ke unko, Shikayat bahot hai, Suna hai ke unko, Shikayat bahot hai.
To fir unko hamse, Mohabbat bahot hai, Suna hai ke wo, Tod dete hai dil to.
Hamein tootne ki bhi, Aadat bahot hai, Suna hai ke unko, Shikayat bahot hai.
Nazar bharke wo dekhte bhi nahi hai, Hamare liye sochte bhi nahi hai, Nahi hai nahi sochte bhi nahi hai.
Guzarte hai hum roj pehlu se unke, Magar wo hamein rokte bhi nahi hai, Haan rokte bhi nahi hai, Haan haan rokte bhi nahi hai.
Suna hai ke nafrat wo, Karte hai humse, Hamein unki nafrat se, Raahat bahot hai.
Suna hai ke unko, Shikayat bahot hai, Suna hai ke unko, Shikayat bahot hai.
Shehar chahe jeevan ka, Veeran kar do, Magar dekh kar humko, Hairan kar do.
Bharam aaj bhi hai, Wafaon ka humko, Ijaazat hai jana, Khataon ki tumko.
Khata par bhi unki, Khafa hum nahi hai, Kisi haal mein bhi, Judaa hum nahi hai.
Nahi hai nahi haan, Judaa hum nahi hai, Wo ilzam jitne bhi chahe laga le, Wafadar hai bewafa hum nahi hai.
Haan haan bewafa hum nahi hai, Haan haan bewafa hum nahi hai.
Suna hai ke wo, Bhool jate hai milkar, Hume unki yaadon ki, Daulat bahot hai.
Suna hai ke unko, Shikayat bahot hai.
Suna hai suna hai, Shikayat bohot hai, Haan ji haan ji suna hai, Mohabbat bohot hai.
Haan haan unki nafrat se, Rahat bahot hai, Hamein tootne ki bhi, Aadat bahot hai.
Shikayat mohabbat haan rahat bahot hai, Hume unki yaadon ki daulat bahot hai, Suna hai suna haan haan humne suna hai, Suna suna suna hai.
Suna hai ke unko shikayat bahot hai.
Shikayat Song Info:
Song: | Shikayat |
Album: | Gangubai Kathiawadi |
Singer(s): | Archana Gore |
Musician(s): | Sanjay Leela Bhansali |
Lyricist(s): | A M Turaz |
Cast: | Alia Bhatt |
Label(©): | Saregama Music |