Tu Hai Kahan Lyrics – Zayn | Aur

Tu Hai Kahan Lyrics is recently viral song sung by Zayn, Usama Ali and Ahad Khan with music is given by Raffey Anwar. Tu Hai Kahan song lyrics are written by Usama Ali and Ahad Khan. The music video released by Aur and directed by Raffey Anwar.

Get Tu Hai Kahan (Feat. Zayn) Song Information

Tu Hai Kahan Lyrics

Ki jab main had se, Aage badh gaya tha, Aashiqui mein.
Yaani zindagi ko le raha, Mazak hi mein, Fir mazak hi mein mil gaya, Sab khak hi mein.
Chhu kar aaya manzilein to, Tanha tha main wapsi mein.
Jaise phool tode honge, Tumne jholi bhar ke, Main wo phool jo ke, Reh gaya tha shakh hi mein.
Jaise khwab hi main, Khwabgah ankh hi mein, Pal se pal mein kya hua tum, Reh gaye bas yaad hi mein.
Ek sawal machalta hai, Mere dil mein kabhi, Tujhe main bhool jaun ya, Tujhe main yaad karun.
Tujhi ko soch ke likhta hu, Jo bhi likhta hu, Ab likh raha hu to, Fir kyu na ek sawal karun.
Main is sawal se, Gam ko badal du khushiyon mein, Par in bejaan si khushiyon se, Kya kamal karun.
Par ab sawal bhi kamal, Tu sambhal le filhal, Ye sawal bicha jaal kya, Main chaal chalu.
Chaal chal tu apni, Main tujhe pehchan luga, Main apni mehfilon mein, Sirf tera hi naam luga.
Tujhe pasand hai dheema lehja, Aur bas khamoshiyan, Main tere khatir apni, Khud ki sansein tham luga.
Kya tere saare aansu, Mere ho sakte hain, Aisa hai to tere khatir, Hum bhi ro sakte hain.
Mere khatir mere rone, Par ab tum bas hans dena, Ek bar tere muskurahat ke peeche, Hum sab kuch kho skate hain.
Kya meri mohabbaton ka, Koi hisab nahi hai, Kyu tere aankhon mein mere liye, Koi khwab nahi hai.
Tujhe kya hi karun, Ghamzada ab jane de, Ke tere paas mere pyaar ka, Jawab nahi hai.
Kitni muddatein hui hai, Tumne khat kyu nahi bheja, Gaa leta hun tere liye, Mausiqi nahi hai pesha.
Aane ki khabar hi nahi tere ab, Ab kya mausamon se puchun, Tere aane la andesha.
Aankhon mein aansu nahi hai, Kahan hai tu kahan tu nahi hai, Dil ko ye ab jaan-na hi nahi, Bas tu chale aao.
Tu hai kahan, Khwabon ke is shehar mein, Mera dil tujhe dhundta, Dhundta .
Arsa hua tujhko dekha nahi, Tu na jane kahan chhup gaya, Chhup gaya.
Aao fir se hum chale, Tham lo ye hath, Kardo kam ye faasle, Na pata ho manzilon ka, Na ho raste.
Tu ho main hu baithe, Dono fir hum taaron ke tale.
Na subah ho fir na hi din dhale, Kuch na keh sake kuch na sun sake, Baatein sari woh dil mein hi rahe, Tum ko kya pata hai kya ho tum mere liye.
Kehkashan ho tum, Kahaniyon ki pariyon ki tarah ho tum, Mujhme aa sake na koi is tarah ho tum, Ho yaqeen tum mera ya fir gumaan ho tum.
Aashiyan ho tum, Main bhatka sa musafir, Aur makaan ho tum.
Meri manzilon ka, Ek hi rasta ho tum, Dhundta hai dil tujhe, Bata kahan ho tum hmm.
Ho jahan kahin bhi, Aao paas taaki, Aansu mere tham sake, Yaad aa rahe ho tum, Mujhe ab har lamhe.
Aisi zindagi ka kya, Jo tum zindagi mein hoke, Meri zindagi na ban sake.
Sochta rahu ya bhul jaun ab tumhen, Tum mil hi na sakogi to, Fir kaise chahu ab tumhen.
Tere saare khwab, Pal mein jod denge, Jisme tu hi na basega, Fir wo dil hi tod denge.
Chod denge wo shahar, Ke jisme tum na hoge, Toot jayenge makaan, Wo sare hasraton ke.
Gujre pal jo sath tere, Wo pal hai bas sukoon ke, Mil lo ab tum is tarah, Ke fir nahi miloge.
Tu hi tha sath mein mere, Kaise main jeeyuga akele, Taare gin gin ke ho gayi, Hai subah.
Tu hai kahan, Khwabon ke is shehar mein, Mera dil tujhe dhundta, Dhuundta .
Arsa hua tujhko dekha nahi, Tu na jane kahan chup gaya, Chup gaya.
Written by: Ahad Khan, Usama Ali
If Found Any Mistake in above lyrics?, Report using contact form with correct lyrics!
Tu Hai Kahan Lyrics – Zayn | Aur

Tu Hai Kahan (Feat. Zayn) Song Info:

Song: Tu Hai Kahan (Feat. Zayn)
Singer(s): Ahad Khan , Usama Ali , Zayn Malik
Musician(s): Raffey Anwar
Lyricist(s): Ahad Khan, Usama Ali
Label(©): AUR
Scroll to Top