Tu Phir Se Aana Lyrics – Raftaar
Tu Phir Se Aana Lyrics
Tu phir se aana.
Bhar mastako pe le chale, Jo pustako se door, Panape jis zameen pe, Uss zameen pe maa bhi mazdoor, Mann se nasht tan pe kasht, Raat khane mein hai choor sang lu, Ye gareebi ka kasoor, Aur jo noor na banenge, Bache kood mein milenge.
Nasoor se pale jo, Kaise soorme banenge, Kuch wo phool jo khilenge, Kuch ko school na milenge, Kuch ke paav do chilenge, Chup wo dhool me milenge, Jiske paet mein anaaj na, Woh kis dharam ka hai bhala, Ik bharam mein jeeta wo ki, Kab garam ho ek tawa.
Kis karam ki maar hai, Ahaar inka bas hawa, Na milti maa ko ek dava, Pita sava me gumshuda, Ik dafa socho desh band tha, Wo chal padi 8 meel pehle ghar se, Gir ke dhar pe mar padi.
Jeeta naan balika ko, Jeeti na jo ek kadi, Woh aafan hai ya jal chuki, Ye sochta me har ghadi.
Tu phir se aana muskaan banke, Mere ghar mein chota mahmaan banke, Tu phir se aana muskaan banke, Aur has ke jeena meri jaan banke, Banke .
Pet mein aag lagi hai, Par paani bhi toh paas nahi, Chote hain kadam kaafi, Jawani bhi to paas nahi, Wo thak chuke itna, Patri pe hi so jayein, Par sulane wali, Maa ki kahani bhi toh paas nahi, Jo ghar pe hain vo khush hain, Jo road pe vo puchein, Ke ghar ki chat milegi kab?, Kahan pe jaake lu chain?, Jab maa chhodne aayi thi, To ek din mein pahuche the, Ab wapas jaane mein, Mujhko lagre hain din kyu 6?.
Ab sab dhundhla lagra, Nahi bachi hai taakat, Ab so hi jata hu, Agle janam mein lunga daawat, Bas maa ko batla dena, Ki thoda door hi tha main, Hawa mein khushbu lele, Milne tak lele raahat, Aur jo kehte hain ke marne par hum, Ek lakh denge, Maano 16 maut aayi, Aur ho gaye 16 lakh, Upar shikaayat karunga, Ab wo hisaab lenge, Jo ghar tak chhod dete, To bach jaati 16 laash.
Tu phir se aana.
Tu Phir Se Aana Song Info:
Song: | Tu Phir Se Aana |
Singer(s): | Karma , Raftaar , Salim Merchant |
Musician(s): | Raftaar |
Lyricist(s): | Karma, Raftaar |