Umeed Lyrics – Tanzeel Khan
Umeed Lyrics
Yeah! , Bahot dino bad aaj khula aasmaan hai, Khali ye janeen aur bada taapmaan hai, Dharti ye shaant hai, ant ka paigam hai, Bimari ko bhi majhab de raha insaan hai.
Awaaz kaun uthae beimaan toh awaam hai, Ab tere hi haatho mein desh ki ye jaan hai, Jo wafadaar unpe hi ilzaam hai, Vardi safed khakhi ko mera salaam hai.
Ab ye na puchna kis galti saza mili, Haa paison se bhi keemti bani hai inki zindagi, Khusnaseeb khud ko samjho kya halat gareeb ki, Insaniyat ko chhodo murdo ke liye jagah nahi.
Ho kaisa ye manzar hai, Kyun lag rha mujhko darr hai, Is marz ka kya hall hai, Sirf rabb ko ye khabar hai.
Kal bhi suraj niklega, Roshan hoga ye jahan, Umeed hi kar sakte, Ab yahan bas yahan.
Itna kyun hai hum tanha, Beetega bhi ye lamha, Kar sakte hai sirf ab hum dua, Hum dua!.
Haan maut nahi dekhti kya tera hai mazhab, Sabar rakhle thoda aur sikhle tu sabak, Ghar mein hi baith agar asli tu marad, Khuda se dua kar haan gunahgaar bankar.
Tumhara bhi hai parivaar thoda zimedaar bano, Bhul ke bhedbhav khud se sawaal karo, Yahi waqt hai sab ek sath lado, Ek sath lado bhale ek sath maro, Yahi waqt hai sab ek sath lado, Ek sath lado bhale ek sath maro.
Haan itna muskil nahi hai!.
Huh kaisa ye manzar hai, Kyu lagra mujko darr hai, Iss marz ka kya hall hai, Sirf rab ko hi khabar hai.
Kal bhi suraj niklega, Roshan hoga ye jahan, Umeed hi kar sakte, Ab yahan bas yahan.
Itna kyun hai hum tanha, Beetega bhi ye lamha, Kar sakte hai sirf ab hum dua, Hum dua! .
Huh agar mushkil lag raha hai ye abhi, Socha hai kashmir ne kaate kaise din kabhi, Azadi kya?, Unke paas na tha internet bhi.
Aur kitna muskil raha hoga, Un auraton ke liye sabhi, Jo gaav mein bachpan se lockdown mein rahi.
Socha hai?, nahi!, Toh sochon un jawano ke baare mein, Jo rahe parivaar se door kabhi garm, Toh kabhi sard mein.
Unke baare mein jo rahe, Gareebi me submerged hai, Par soch ke kya karoge?, Na samajh paoge kabhi dard hai.
Par iss baar, Ghar par hi baith agar tu, Asli mard hai.
Umeed Song Info:
Song: | Umeed |
Singer(s): | Tanzeel Khan |
Musician(s): | Akarsh Shetty |
Lyricist(s): | Tanzeel Khan |
Label(©): | Tanzeel Khan |