Zindagi Khafa Khafa Lyrics – Rahul Vaidya
Zindagi Khafa Khafa Lyrics
Jise tha toot ke chaha, Usi ne dil mera toda, Mere humraah ne mujhko, Hai tanha raah mein chhoda.
Chupa ke saari duniya se, Ashq apne bahata hoon, Unhe kaise bataun main, Na unko bhool paata hoon.
Aankh hai bhari bhari aur tum, Muskurane ki baat karte ho, Zindagi khafa khafa aur tum, Dil lagane ki baat karte ho.
Mere dil mein jo rahte the, Hue hai aaj begaane, Mere dil mein jo rahte the, Hue hai aaj begaane.
Nazar meri mohabbat ko, Lagi kiski khuda jaane.
Hai raaste dhuaa dhuaa aur tum, Paas aane ki baat karte ho, Aankh hai bhari bhari aur tum, Muskurane ki baat karte ho.
Bade masoom the kal tak, Wahi magroor ban baithe, Bade masoom the kal tak, Wahi magroor ban baithe.
Mujhe tanhaiyan deke, Bade mashhoor ban baithe, Dil hai bujha bujha aur tum, Gungunane ki baat karte ho.
Aankh hai bhari bhari aur tum, Muskurane ki baat karte ho, Zindagi khafa khafa aur tum, Dil lagane ki baat karte ho.
“Mohabbat ke mukaddar mein, Har baar judaai hai, Shahar mein shor hai lekin, Mere dil mein tanhaai hai”, Aankh hai bhari bhari aur tum.
Zindagi Khafa Khafa Song Info:
Song: | Zindagi Khafa Khafa |
Singer(s): | Rahul Vaidya |
Musician(s): | Sanjeev Chaturveri |
Lyricist(s): | Sanjeev Chaturvedi |
Cast: | Rahul Vaidya, Rashami Desai |
Label(©): | Ishtar Music |